Sunday 22 May 2011

not a poem...series of thots....

sach to hai ki zindagi kabhi kisi ke liye rukti nahi...
par haan kisi ka hona ya na hona iski raftaar jaroor badal deta hai..
ek safar hai ye jisme kuch cheejo ko ham sath leke chalte hai bewajah hi ...
aur kuch hote hai jo jaruri hote hue b piche choot jaate hai...
ek tu hai jiska sath na hona b mehsoos hota hai...
aur ek ye duniya hai jo saath hoke b mahsoos nahi hoti...
koi hai jo aata hai ek hawa ke jhonke sa...thakaan mitane ke liye...
aur koi tufan aata hai piche dhakelene ke liye...wajood tak ko hila deta hai..
jaroorat teri kuch jyada hi hai..isiliye khuda se har roj maangte hai tujhe..
itna agar khud ko ya khud ki khushi ko maanga hota to shayad khuda b maan jaata...
tujhe mera kar dena kya khuda ke bas me nahi ?? 
fir sochti hu wo mera maseeha hai shayad isliye aisa nahi karta...
tu mujh se door hi rahe to acha hai....
kyunki main kho jaati hoon tujh me aise jaise boond zameen me aur  nadi sagar me....
tu mujh se door hi rahe to acha hai ....
kyunki fir kuch behtari ki umeed nahi rahti jindagi se...
jitna upar main uth jaun jindagi me ...samajhna utna jyada mera pyaar tha tumse...
jitni door main chali jau ...samajhna utna jyada mera pyaar tha....
kyunki tum yaad itne ho ki bhulane ke liye itna karna padta hai...
tum to mujh me baste the kabhi....isiliye khud se door jaane ki naubat b aayi hai kayi baar...
tere jaane ke baad dil jo pathar hua...us pathar ke rone ki awaaj b aayi hai kayi baar...
yaad aayegi teri mujhe har pal....pata hai mujhe is baat ka...
par wo mujhe rulayegi kitna ye badal jayega....
main tujhse pyaar karungi hamesha....
par dikhaungi ki nahi ye badal jayega....
insaan badlega ya to kabhi...ya fir uska naseeb badal jayega....

No comments:

Post a Comment