Sunday 29 July 2012

Dikkat hai !!


Paidaish se pahle hi maa baap ko mere ladki hone se dikkat hai...
 Main 18 saal se kam hoon to mujhe apni choti umar aur allahdpan se dikkat hai ...
aur agar main 25 se jyada hoon to mujhe har wo cheej chahiye jo mujhe jawan dikha sake..
Agar mere physical dimension  aur proportion curvy nahi hain to main badkismat hoon...
mujhe push-up lingerie aur botox ki jarurat hai...
agar main thodi bhi bharma gayi hoon to maine jeene ka haq hi kho diya hai....
ab mujhe khana peena chod ke marne ke intejar ki jarurat hai
Bhagwan ne zulm kiya hai mujhe sanwla rang deke...
ab to mujhe apne chehre se aur har nazar jo mujhpe padti hai us se dikkat hai...
lekin agar kuch jyada gora bana diya to wo b koi baddua se kam nahi....
mujhe golden hone ke liye tanning ki jarurat hai..
Ab khoobsurat hona hi sab kuch nahi hota....
mujhe apne jaan pehchaan walo  ke mujhse ameer hone se dikkat hai
Oh aaj to main saj dhaj ke bahar nikli thi...
agar kisi badshakal gareeb ne ghoora mujhe to wo badtameej hai..
lekin agar stylish metrosexual dude  mujhe dekhe to wo tareef mujhe pasand hai ..
Mujhe inspire  nahi karti Kiran Bedi ki mehnat aur uska iconic hona...
par roadies  aur splits villa ka hissa na ban pana mere liye suicidal hai
Main kaun hoon ?? Main hoon bhi ki nahi hoon ?
Haan main aajkal hi har ladki me dikh jaati hu...
Haan main duniya ki soch hoon..
aur mujhe is soch se dikkat hai !!

Tuesday 10 July 2012

Tijarat ya Ishq ?

Kal main khush thi..aaj nahi hoon..
fark sirf muhobbat ka hai...
kal tak sab kuch khubsurat tha duniya me....aaj kuch b nahi hai,
fark sirf tere na hone ka hai
waqt tha jab har shay ko faayde nuksaan me dekhti thi main b ....
aur aaj sab kuch kho ke b khush hone ka haq mile to kam lagta hai..
kisi mehtaab k liye apne  shams ko girwi rakh diya ..
zindagi ki kuch pal ki kadwahat kam karne k liye...
tujhse jhuthi khushi ka mitha zeher le liya 
apne aapse naraj is qadar thi ki khud se qabil tujhko maan liya 
koi mujhe be-waqoof tajir kahe to koi achha aashiq...
fark sirf lafzo ke fer ka hai....
main badal gayi hu teri pehchaan se pare....par tu waisa hi hai....
fark  mere insaan aur tera sirf ek yaad hone ka hai
aaj bhi apne aapko galat maan lene ki himmat nahi..
aaj bhi tujhe ek kamtar insaan maan lena zurm lagta hai
mamla ek padri ke kaafir hone ka hai 
ab tu hi bata ki main khud ko kya kahu....
ek tajir jise sauda karna bhi na aaya ...
ya fir ek aashiq jo muhobbat ne siwa kuch ni jaanta !!