Friday 27 April 2012

Shauq aur shikayat !!

Aankh ki nami se shikayat nahi .... Wajah bas munasib rakhna ..... Tanha rahne  se  darne ki zaroorat nahi ....  Isko bas tum apna shauq rakhna .... Har lamhe aur har insaan me umeed mumkin nahi.....  Bas tum khud se naumeed mat hona ....  Poori duniya tumhe khali lage kisi k bina... Kisi k na hone ki ahmiyat inti nahi hone dena... Ye jo tera man h wo sapne leta h.... Bas kisi  bebasi ko apne wazood ka hissa mat rakhna ..... Insaan h to fir kaam b waise hi kar .... Har baat pe kya aansu bahana aur kya aahen bharna ..... Zindagi hai to zindadili b ho .... Kyu apni maut se pahle apna matam rakhna... Hona hai to sabse umda ho.... Nahi hona aisa to fir jaldi ek bure kisse ki  tarah khatam ho !!