Saturday 17 December 2011

Fitrat aur Waqt !!

Hoga kuch aisa bhi ki tera vazood badal jayega..
ateet se aise mat jud nahi to 
Tareekh ban jaega..!
Purane khandhar me khushi dhundhega to 
sapno ki imarate banane ka waqt nikal jaega..!
Dil ke ehsaas samander ke thahre paani se hain...
unhe mat choo....wo ehsaas machal jaega.!
Mat dekh usko is najar se...
ishq ho jaega...!
Har baar kisi anubhav ko dohraane me hi khushi nahi mil sakti..
nayepan ki umeed rakh ...usme hi jindagi ki bachi hui khushiyan payega..
Ye gam to andhera hai ...chahe kitna ghana..
muskurahaton ki roshni kar ..chala jaega..!
In sannaato se kaisa dar...
ek hansi ka faasla hai ye bhi tanha rah jaega..!
Zid mat kar kisi ek cheej ko paane ki..
 Tu koi chhota baccha nahi ki zid karne se sab  mil jaega..!
Wo insaan jispe  tu apni muhoobbat diye jaata hai 
gar uske dil ka pyala chota hua to chalak jaega !
Chhed wali kashti me sawaar hai is waqt
nahi taira to doob jaega !
Ummeed rakhni hai to khuda se rakh insaano se nahi
tere daaman me na samaye wo itni khushi de jaega !
Sach jaanna hai to gahrayi me utar
upar se dekhega to jhuth hi payega..!
"Kya hua aaj akela hai to...
kya hua tere apne b saath nahi to...
hujoom ka kya hai wo to janaaje pe b jut jaega !"
Kuch bure lamho ko yaad karke jindagi ko kosna theek nahi
waqt tera tujhse naraj ho jaega !
Chhod de ye sab insaani fitrate...
nikal pad us dagar pe jahan ho tu aisa
tera har raaj keetab aur 
tera kiya har kaam itihaas  ban jaega...!!

















No comments:

Post a Comment