Sunday 25 December 2011

emotional exaggeration !! heavy dose :P


Jaane kyu wo lafz nahi milte jo tujhe bayan kare
Jaane kyu wo yaad nahi milti jo hansa de
Jaane kyu wo insaan nahi milta jo mujhme tha
Jaane kyu wo waqt nahi milta jo sahi tha
Jaane kyu koi sawal nahi milta teri jubaan se
Jaane kyu kabhi koi jawab meri kalam 
nahi likhti
Jaane kyu tu fir se wahi apna hai jo
paraye ki jarurat mehsoos karaega
Jaane kyu tu wahi shaks hai jo mujhe fir se tod jaega
Jaane ye kaisi narajgi h khud se
Jaane kab tak ye khushi ka bhula
ehsaas mujhe rulaega
Jaane kab ye suraj khud ko bujhaega
Jaane kab insaan apne aap ko sirf insaan samjhega
Jaane kab wo khuda  kisi khuda ki tarah sab acha kar dega !!!!

No comments:

Post a Comment