Saturday 25 February 2012

Insaan hona chahiye !!

Kis bhram me ho tum ?
Kyu baante jaate ho insaano ko ??
Tum kahte ho main Hindu hoon...main Musalmaan hoon...
agar sach me koi farak hai to 
tere lahoo ko haraa aur  mere lahoo ko kesariya hona chahiye....
aur aisa nahi hai to fir tumhe
Sirf Insaan hona chahiye...
Kyu khaal ke lifaafon ko itni ahmiyat dete ho ??
kyu apne aapko birtaani ...arab aur hindustani sirf banate ho ?
Agar koi farak hai sach me to tumhari shuruaat aur ant ko bhi alag hona chahiye....
tum bhi agar isi hawa me saans lete ho...
tum bhi agar isi paani se apni pyaas bujhate ho  to fir tumhe
Sirf insaan hona chahiye..
Agar apne maa aur baap ke mard ya aurat hone se jyada unka pyaar dikhai deta hai to fir
Duniya se is shakti shangharsh ko khatam hona chahiye..
Paise ka roop badalta hai...wo kabhi ek sa nahi rahta....wo hamesha jaruri bhi nahi rahta
lekin kuch achal aur amar chahte ho tum apne liye to 
tumhe bhi apne hunar ka Sikandar,Ghalib ya Newton hona chahiye,
Agar jhund me raho to bhediye sa samarpan rakho apni jaat k liye...
agar akele raho to sher sa zimmedar hona chahiye..
Sabki apni alag paribhasha hai ki achha kya hai....rahne do khush sabko apne tarike se...
lekin sabka ehsaas dukh k samay ek sa hai 
rona ya hasna kisi bhasha me nahi hota....
aur agar aisa hai to duniya se anyaay mitna chahiye..
Koshish kar ek aankh se aansu pochne ki 
Khilkhilata ek bachpan de kisi anaath ko...
Agar sirf itna har ek insaan kar de to kon kahta hai ki 
duniya ko jannat banane ke liye Khuda ko hona chahiye !!



2 comments:

  1. Fantastic thoughts !

    "Agar jhund me raho to bhediye sa samarpan rakho apni jaat k liye...
    agar akele raho to sher sa zimmedar hona chahiye.."

    ReplyDelete
    Replies
    1. Janaab aap ne tareef kar di to fir maan hi leti hu ki acha likha hai :)

      Delete