Saturday, 27 July 2013

On Modi as PM

I always have interest in politics....i love politics....the word has a different and very derogated meaning today but we must remember it is one of the oldest and respected subject....i mean otherwise why the politics is every where ?? because of my love and respect for the subject i took it as one of my optional subjects .... Learned lot many things,which i do apply while analysing any political scenario....
Why Modi ??
People are sick and tired of dark age of corruption....they actually see modi as the only way out....
The on paper Gujarat is a success story....
Rahul Gandhi or anyone else is not even a close competitor when it comes to charismatic authority of modi...
 Why not modi ??
In a diverse country like India where minorities are essential part of our Indian identity we can not have a PM like him.... He never apologiesed    for what happened in godhara....i am not saying Hindus were right or muslims were...but as a CM it was his duty to protect all of his subjects..he did not. I am in America right now and i am a minority....and i would really hope that when white people come and kill us for any reason we are protected by the state..
How can we chose a PM who can compare 20% of Indian population to a puppy. A good leader is supposed to preach harmony and spirit of coexistence not fundamentalism.
Sad part is not everyone is logical and just..
I feel sorry for this state of affairs.....we could have been better...we could have been more civilized.... We could have been more Indian. 
Jai Hind !!

Wednesday, 3 July 2013

zindagi jee ke dekhte hain

Ishq se aage badhke dekhte hain..
Ishq ko piche chhod ke dekhte hain..
Tere bin jee ke dekhte hain..
Kahin aur dil lagega nahi jaanti hoon..
Fir bhi koshish karke dekhte hain..
Zarooraton se haar ke dekhte hain..
Tere bin jee ke dekhte hain..
Sapno me to jiya nahi ja sakta
Chalo unhe sajae maut dete hain
Aur haqeeqat se haar ke dekhte hain..
Nahi tu saamne to kya hua
Ham aankhen band karke tujhe jee bhar ke dekhte hain
Mumkin nahin ki tujhe pyaar na karun..
Fir bhi majbooriyon se haar ke dekhte hain..
apni hasrate apne aap se hi chupa kar dekhte hain..
Kya hone wala hai jaanti nahi hoon
Par jo kuch ab tak hua hai usse kuch seekhke dekhte hain..
Apni hasraten apne aap se hi chuppa ke dekhte hain..
Apne dil ko bolte hain chup chap baithe.
Apne dimaag ko bhi aajma ke dekhte hain..
Suna hai duniya me karne ko bahot kuch hai
Chalo ab tumhare siwa bhi kuch aur soch ke dekhte hain.. 
Tujhe to ilm bhi nahi meri halat ka
Na tujhe koi fark hi padega jaanne se..
Chalo aaj ham bhi tujhsa hoke dekhte hain..
Bade din hue  aansuo ko bahe 
Chalo aaj roke dekhte hain
Chal aaj fir khuda ko aazma ke dekhte hain..
Chal aaj fir tera pyaar maang ke dekhte hain
Jhuthi umeed ke hathiyar se kaise koi ishq ki jung jeet sakta hai
Teri berukhi ka zahar ab asar kar raha hai..
Tum to kabhi miloge nahi to ab kya fayda ladne ka 
Ishq ki ye jang   haar ke dekhte hain..
Ye jo bhi hai zindagi to nahi lagti 
Ye jo sajae maut hai ise kaat ke dekhte hain !!
Pyaar se kab kisika dil bhara hai
Chalo pyaar se nafrat karke dekhte hain..

Monday, 18 February 2013

zazbaat

" apni umar wo chhupaye jo jiya nahi hai "

"teri kahani aur mere tazurba-e-ishq me farak hai..
tujhe meri zarurat hai...
aur mujhe..
sirf teri zarurat hai "

"sabke apne apne tarike aur tarkiben hai sach chupane ke..
koi bina khushi muskura raha hai..
to koi toot ke bhi aansuon me nahi bahta"

"kaya koi dawa asar karegi ?
kaise koi dua kaam aayegi..
har pal naya dard hai..
har pal nayi chahat hai..
har baar wahi tu hai..
har baar wahi khuda hai"

"jaane kitne kisse hain..
jaane kitni kahaniyan hain..
tere bin sab adhoore hain
tere bin sab adhoore hain"

"meri khushi meri muskurahaton me mat dhundh..
na mere gham tujhe aansuon me milenge..
sabko apna razdar nahi banati main "

"tere intezar me bhi kuch baat to hai..
kisi aur se mulaqaton se bhi wo behtar hai "

" wajah chahne ki tujhe ek bhi nahi mere pass
par tarike hazaron hain "

" behtareen libaas me aaya hai ishq is baar..
lagta hai na nahi kah paungi...
ishq "tujh sa" hoke aaya hai "

" jab bhi koi dua qabool nahi hoti...
sochti hu ya to dua galat hai ..
ya fir khuda koi aur "

" is bebasi ki intehaan to dekh
na tujhe apnane ka koi zariya hai
na tujhe bhool jane ki koi tarqeeb "

" is tanhai ka ehsaas jaanti hu main mere dost..
sabka hona ek taraf ..
tera na hona ek taraf "

Monday, 26 November 2012

thoughts :)



Dard se dard nahi hota
Dard kisne diya ye soch ke aansu behte hain
Dushman mere me himmat nahi mujhe khatam karde
Ye  Dosto ka behrupiya hona hai jo jaanleva hai
Kis zamaane me hoon pata nahi
Kisi k ghar ka jalna kisi ke liye aatishbaazi hai
Na jaane kitni jhuth zehan me hai logon ke
agar koi sach bole to yaqeen koi karta nahi
Jaane kaisi andhi duniya hai
Sirf wahi dekhti h jo dekhna chahti hai
Sachai buri hai to nazarandaaz hoti hai
khoobsurat jhuth ho to use khareedne k liye...
 khud ko bechne ko tyaar rahte hain
Jaane kaise log sochte hain
Khuda jaane sochte bhi hain ke nahi ......


Friday, 19 October 2012

Sawal Jawab

kya tum mere bhagwan ho ?
wahi jise main mahsoos karti hu..zindagi ke sath....
kya tumhe bhi khushi aur gham mehsoos hota hai ?
kya tum bhi thand aur garmi me farak bata sakte ho ?
kya kabhi kabhi tumhara bhi man karta hai ki kisi se pucho ki aage kya hone wala hai ?
ya fir tumhe sab pata hai ..kyunki tum bhagwan ho ?
kya tumne ye sab banaya hai jo main aas pass dekh paati hoon ?
kya tumhe bhi apni banayi cheeje kabhi napasand hoti hain ?
kya tum apni galti maan kar use sudhar lete ho ? 
ya fir tum galti hi nahi karte kabhi ...kyunki tum bhagwan ho ?
kya main  is duniya ka ek aisa hissa hoon jiske hone ya na hone se farak nahi padta....
ya fir main jaruri hoon ...sirf isiliye ki main khud hi ek duniya hoon ?
kya mera duniya aur apne ko samajhne ka tarika galat hai ?
kya ye sab jinko main dekhti hu mere apne hain kyunki ham sabko tumne banaya hai ?
ya fir ham sab ka apna alag bhagwan hai ?
kya aisa hai ki tum har kisi se alag jubaan me baat karte ho ?
kya main moslem hoti to tum alag hote ?
ya fir tum sirf dharam se bandhe nahi aur sabke bhagwan ho ?
kya karu jab koi mujhe dukhi kare ?
gussa karu ki galat hua ya fir bhool jau jo bhi hua ?
ya fir sab tumhare bharose chhod du kyunki tum bhagwan ho ?
kya usi dil ki har baat sunti rahu jo zinda rakhe hai ?
ya acha rahega agar ye maan lu ki tumhi ho jo ander se mehsoos hote ho ?
ya fir har jagah tumhi ho ?
agar haan to fir to ham dono ek jaise hain bilkul...
tum mere bhagwan ho....main tumhari insaan hoon !! :) :) 

Tuesday, 11 September 2012

Khoobsurat Khayal....

Ek zindagi hoti hai jo khyalon me hoti hai...
kya haseen hoti hai...kya khoob hoti hai.....
aur ek zindagi hoti hai jo haqiqat hoti hai....
agar kismat achhi hai to jeene layak hoti hai....
na to bas kya kahoon ki kya hi hoti hai...
aksar sochti hoon ki agar khayalon wali us zindagi ko jeena pad jae to wo bhi badtar ho jaegi...
is duniya me  kisi khyal ka aana use kharab kar hi deta hai.....
yahan bhagwan ke avtar bhi aate hain to unhe marna padta hai...
ab khud ko hi soch lo ...kya the tum aane se pahle is duniya me...
ek khoobsurat khayal...ek umeed maa baap ki khushi ki...
aur agar sab ki maane to koi hai is duniya me jo tumhare liye bana hai..aur shayad tumhare intezar me bhi ho
shayad uske bhi kuch khayal honge tumhare liye.....
khud jaante ho ki tum wo khayal nahi ho....
kisi aur ka to chodo tum khud ka khayal bhi nahi ho....
mauka mile to tum bhi khud ko badalna chahoge...kisi khubsurat khayal ke sath...
aisa nahi ki mauke milte nahi....aisa nahi ki tum thoda bahot khud ko badalte nahi....
par wahi fir se hota hai....dimag ka nikla khayal jab sach ka roop leta hai to badsurat ho hi jata hai....
aur tum fir se apne aap ko badalne ki jarurat mahsoos karte ho....
itna sab sochne ke baad dimag me ye aata hai ki 
banane wale ka khayal kya tha hame banate samay....kya jo sab ho raha hai wo hame us sachai me tabdeel kar paega jo wo hamse chahta hai ?
kya ham kabhi ye maan payenge ki ham wahin hai jo hame hona chahiye ?
kya jo bhi hai ...jaisa bhi hai wo insaan sahi hai ??
kya ham sab kamiyon ko bhool ke  ya fir ye maan ke ki unhe badla nahi ja sakta ...ek dusre ke sath tahjeeb se nahi rah sakte ?
kya thodi kam khoobsurat sachai ek behad khoobsurat khayal se achi nahi ??
kya jo nahi hai uske liye rona itna jaruri hai ki jo h use dekh ke muskuraya na jae ??
koi sawal nahi poocha jo jawab mile....
koi jawab hai hi nahi jo mile....