Friday, 18 May 2012
Friday, 11 May 2012
Missing parts of the puzzle !!
Kuch nahi h jiski kami hai
Jo h wo aisa nahi ki gair zaruri hai
Ek aisi neend mile jo mere bachpan ki yaadon me hai sirf
Ek aisa din mile jisme sirf khushi hi ho mere har lamhe me
Ek dost mile mujhe apne aap me jo kabhi mere sath tha
Wo insaan jo ab kho gaya h ya pata nahi naraz hai mujhse
Nahi chahti ki kuch asaan mile
Par koi jung mile jiska lakhsya bada ho Jise jeet ke main apna bhavishya ban paun
Wo aakhen mile jo sapne dekhti h aur wo himmat mile ki unhe poora karun
Wo shabd mile jo mera haal bayan kar paaye
Ya fir koi mile jo meri khamoshi samjhe
Wo hawa mile jo aandhi banti h
Wo lehar mile jo samandar ko hilati h
Wo roshni mile jo chaunka de
Wo pyaar mile jo poora kar de
Wo dua qabool ho jo harsu maangti hu
Wo bharosa mile ki mera hona apne sath hi kaafi h
Wo shuruat mile jo ek nayi zindagi de
Wo ant mile jo khushi de
Wo khuda mile jo insaan ko samjhe
Ya fir main Wo insaan banu jo khuda ka kiya sab sahi samjhe
Is zindagi ki pahadi ko chadhte hue mehnat k chhale mile
Har hissa mehnat se lahu luhan mile
Jitne insaano ko de paaun khushi ki zindagi Utni hi chain ki saans mile
Itna mushkil b nahi hoga in sab ka milna mujhe Agar mere khoye wazood mujhe tu mile !!

Friday, 27 April 2012
Shauq aur shikayat !!
Aankh ki nami se shikayat nahi ....
Wajah bas munasib rakhna .....
Tanha rahne se darne ki zaroorat nahi ....
Isko bas tum apna shauq rakhna ....
Har lamhe aur har insaan me umeed mumkin nahi.....
Bas tum khud se naumeed mat hona ....
Poori duniya tumhe khali lage kisi k bina...
Kisi k na hone ki ahmiyat inti nahi hone dena...
Ye jo tera man h wo sapne leta h....
Bas kisi bebasi ko apne wazood ka hissa mat rakhna .....
Insaan h to fir kaam b waise hi kar ....
Har baat pe kya aansu bahana aur kya aahen bharna .....
Zindagi hai to zindadili b ho ....
Kyu apni maut se pahle apna matam rakhna...
Hona hai to sabse umda ho....
Nahi hona aisa to fir jaldi ek bure kisse ki tarah khatam ho !!
Thursday, 8 March 2012
You and I !! :) :)
I do not love you for something you have in you ...I love you because I need to....
"tujhe pyaar karna meri us zarurat ka hissa hai jo mujhe insaan hone ka ehsaas karati hai ....
teri zarurat meri us zidd ka hissa hai jo ye kahti hai akele rah ke khush nahi raha jaata....
Na jaane fir tu kyun us duniya ka hissa hai jo meri nahi hai...
Main din ki aag hoon to tu raat ki thand hai...
Main andhvishwas hoon to tu Tark hai...
Main jaagte dimaag ki sochi samjhi soch hoon aur tu gahri neend ka sapna hai ....
Main khushi ki chamak hoon aur tu aankh ki nami sa hai...
Main bhavishya ki ek uplabhdi hoon to tu ateet ki galti ka ek nishaan hai ...
Main tazurbe ki pahchaan hoon to tu bachpane ki misaal hai....
Tu wo sab hai jo main rah chuki ....Main wo sab hoon jo tu hone wala hai ....
Haan main pehchanti hoon tujhe...teri rag rag se waqif hoon...
Maine tujhe jeeya hai apne har beete din me..
Haan tum mujhe nahi pahchaan paa rahe ...
Kyunki main tumhara wo bhavishya hoon jisse tumhari har galti mit chuki hai....
Haan main tumhare chahe anchahe balidaano ka parinaam hoon....
Nahin main tumpe sharminda nahi hoon....
Agar tum aise na hote to main b aisi nahi hoti....galtiyan nahi karti to seekhti kaise ?
Tum jaise b ho mere ho....aur main khush hoon tumhe paakar...
Aur umeed hai mere ateet ki apne bhavishya se mil ke tum bhi apni muskurahat rok nahi paoge !!

Wednesday, 7 March 2012
Happy Women's Day !!
A day dedicated to the source......from where life starts....human life from a womb......non-human from earth....
I bestow my regards and all the bestest of emotions i have to a race which makes us what we are...without whom we wouldn't be here.....
To the mother who brings us in the world.....
To the sister who makes the world a better place.....
To the friend who knows you in and out and accepts u with all your imperfections.....
To the lady who loves someone forever with soul and heart...and stays with her partner in happiness and pain...
We acknowledge the greatness of a female by giving all the important things in this world a feminine feel....may it be "life" or something as beautiful as "death" which takes u to another dimension....
She is the "light"....She is the "river"....She is "power"....and the list is endless.... beautiful....
I thank almighty for many things but first and foremost i thank for being born as a woman !!
"wo koi shay nahi jo tujhse khubsurat ho....
wo koi ehsaas nahi jo tujhse pyara ho....
wo koi pal nahi jo tujhse jaroori ho....
sirf tu hai jiske bina har koi adhura ho...."

Saturday, 25 February 2012
Insaan hona chahiye !!
Kis bhram me ho tum ?
Kyu baante jaate ho insaano ko ??
Tum kahte ho main Hindu hoon...main Musalmaan hoon...
agar sach me koi farak hai to
tere lahoo ko haraa aur mere lahoo ko kesariya hona chahiye....
aur aisa nahi hai to fir tumhe
Sirf Insaan hona chahiye...
Kyu khaal ke lifaafon ko itni ahmiyat dete ho ??
kyu apne aapko birtaani ...arab aur hindustani sirf banate ho ?
Agar koi farak hai sach me to tumhari shuruaat aur ant ko bhi alag hona chahiye....
tum bhi agar isi hawa me saans lete ho...
tum bhi agar isi paani se apni pyaas bujhate ho to fir tumhe
Sirf insaan hona chahiye..
Agar apne maa aur baap ke mard ya aurat hone se jyada unka pyaar dikhai deta hai to fir
Duniya se is shakti shangharsh ko khatam hona chahiye..
Paise ka roop badalta hai...wo kabhi ek sa nahi rahta....wo hamesha jaruri bhi nahi rahta
lekin kuch achal aur amar chahte ho tum apne liye to
tumhe bhi apne hunar ka Sikandar,Ghalib ya Newton hona chahiye,
Agar jhund me raho to bhediye sa samarpan rakho apni jaat k liye...
agar akele raho to sher sa zimmedar hona chahiye..
Sabki apni alag paribhasha hai ki achha kya hai....rahne do khush sabko apne tarike se...
lekin sabka ehsaas dukh k samay ek sa hai
rona ya hasna kisi bhasha me nahi hota....
aur agar aisa hai to duniya se anyaay mitna chahiye..
Koshish kar ek aankh se aansu pochne ki
Khilkhilata ek bachpan de kisi anaath ko...
Agar sirf itna har ek insaan kar de to kon kahta hai ki
duniya ko jannat banane ke liye Khuda ko hona chahiye !!

Wednesday, 15 February 2012
Valentines Day !! :)
The day which belongs to the red saint....love is actually in the air this week....fake or real that's altogether a different question...people do look as if they are immersed in love....Even i claimed to be in love with someone yesterday...nonavailability of that person made me think about something else.....all thanks to his absence i could plan something.
I went to meet someone very special ...someone very close to my heart and soul...someone who years ago knew how exactly i will feel and wrote almost every body's haal-e-dil with his kalam.
Mirza Ghalib.....I know people would ask how could i meet someone who is up there in heaven.....well we meet God everyday...we don't really have him in person though...so the same way i met my date....I went to Ghalib's haveli in Ballimaran(chandi chowk).
The moment i entered i sensed a change in me...i was feeling poetic...i was feeling that i should utter every word with lots of love...i was feeling that i should behave like a lady ...i mean the proper nazaqat and tahzeeb part.
I sat there for an hour...i could feel his words...i wanted to remember something i have not seen. I tried to feel Ghalib moving around in his house....i wanted to listen to the gudgud of his sheesha......than i read his maqtaas which were on the paintings ......it was amazing to feel that i could understand what he wrote....it was amazing to feel the love what he felt for someone....It was heavenly and it was divine....
It was the best i could do for myself .....i thanked God for Ghalib....and i left....with love and respect in my heart....something i wrote for Ghalib...modifying his words off-course...
" Na kuch tha to khuda tha.....
na kuch hota to khuda hota..
tujhko banaya tere hone ne....
GHALIB tu na hota to kya hota" !!!!

Subscribe to:
Comments (Atom)