Friday 19 October 2012

Sawal Jawab

kya tum mere bhagwan ho ?
wahi jise main mahsoos karti hu..zindagi ke sath....
kya tumhe bhi khushi aur gham mehsoos hota hai ?
kya tum bhi thand aur garmi me farak bata sakte ho ?
kya kabhi kabhi tumhara bhi man karta hai ki kisi se pucho ki aage kya hone wala hai ?
ya fir tumhe sab pata hai ..kyunki tum bhagwan ho ?
kya tumne ye sab banaya hai jo main aas pass dekh paati hoon ?
kya tumhe bhi apni banayi cheeje kabhi napasand hoti hain ?
kya tum apni galti maan kar use sudhar lete ho ? 
ya fir tum galti hi nahi karte kabhi ...kyunki tum bhagwan ho ?
kya main  is duniya ka ek aisa hissa hoon jiske hone ya na hone se farak nahi padta....
ya fir main jaruri hoon ...sirf isiliye ki main khud hi ek duniya hoon ?
kya mera duniya aur apne ko samajhne ka tarika galat hai ?
kya ye sab jinko main dekhti hu mere apne hain kyunki ham sabko tumne banaya hai ?
ya fir ham sab ka apna alag bhagwan hai ?
kya aisa hai ki tum har kisi se alag jubaan me baat karte ho ?
kya main moslem hoti to tum alag hote ?
ya fir tum sirf dharam se bandhe nahi aur sabke bhagwan ho ?
kya karu jab koi mujhe dukhi kare ?
gussa karu ki galat hua ya fir bhool jau jo bhi hua ?
ya fir sab tumhare bharose chhod du kyunki tum bhagwan ho ?
kya usi dil ki har baat sunti rahu jo zinda rakhe hai ?
ya acha rahega agar ye maan lu ki tumhi ho jo ander se mehsoos hote ho ?
ya fir har jagah tumhi ho ?
agar haan to fir to ham dono ek jaise hain bilkul...
tum mere bhagwan ho....main tumhari insaan hoon !! :) :) 

1 comment: