wo shakhs jo mere dil pe hukumat karta tha kabhi....
wo aaj is dil me jagah ke liye tarasta hai....
kuch us tarah jaise ki ek taaza gira phool tahni ko tarasta hai....
kuch aise hi jaise toota tara aasmaan ko tarasta hai
kuch fakeer ban ke paa jaate hai wo
jin khushiyon ke liye wo baadshah ban ke tarasta hai...
kabhi kabhi lagta hai ki khuda b khuda hone ke liye insaan ko tarasta hai...
khush rahiye har us nemat se jo mili hai aapko jindagi me...
yaa fir us murde ki sochiye jo saans ke liye tarasta hai...
har chahat poori ho jaaye jis insaan ki....
wo b kisi "chahat" ke liye tarasta hai..
insaan b ajeeb hai...aaj ko jeeta nahi kabhi poori tarah
fir b aane wale kal ko tarasta hai...
hansi aati hai dekh ke ...fir aankhen nam b hoti hai..jab dekhti hoon ki
"jo kabhi khudi se na mila wo bhi "us" kisi se milan ke liye tarasta hai...
aag ke dariya me hai to fir pyaas b aag se hi bujhani hogi...
kyu tu bin paani machli ki tarah tarasta hai ...
ek mukaam hai..ek raasta hai..ek manjil hai...teri b jindagi ka...
bas jo theek hai wo tere galat na ho jaane ko tarasta hai...
aage badh ....uncha uth....pair hai jo chalne ko tarasta hai...
aane de wo jajba rago me...tere ander bi hai wo lahoo
jo ubalne ke liye tarasta hai...
bahoot ji liye tum naam ke insaan ki tarah
tere ander b ek khuda hai jo bahar aane ko tarasta hai..
jee le jindagi ki fir nahi milega kabhi ye pal...
aur haan jee kuch aise ki tujhe lage
har koi shakhs tujh jaise jeene ko tarasta hai ....

No comments:
Post a Comment