Kal main khush thi..aaj nahi hoon..
fark sirf muhobbat ka hai...
kal tak sab kuch khubsurat tha duniya me....aaj kuch b nahi hai,
fark sirf tere na hone ka hai
waqt tha jab har shay ko faayde nuksaan me dekhti thi main b ....
aur aaj sab kuch kho ke b khush hone ka haq mile to kam lagta hai..
kisi mehtaab k liye apne shams ko girwi rakh diya ..
zindagi ki kuch pal ki kadwahat kam karne k liye...
tujhse jhuthi khushi ka mitha zeher le liya
apne aapse naraj is qadar thi ki khud se qabil tujhko maan liya
koi mujhe be-waqoof tajir kahe to koi achha aashiq...
fark sirf lafzo ke fer ka hai....
main badal gayi hu teri pehchaan se pare....par tu waisa hi hai....
fark mere insaan aur tera sirf ek yaad hone ka hai
aaj bhi apne aapko galat maan lene ki himmat nahi..
aaj bhi tujhe ek kamtar insaan maan lena zurm lagta hai
mamla ek padri ke kaafir hone ka hai
ab tu hi bata ki main khud ko kya kahu....
ek tajir jise sauda karna bhi na aaya ...
ya fir ek aashiq jo muhobbat ne siwa kuch ni jaanta !!
Wah wah shaire-a-jam !!!
ReplyDelete