Friday, 11 May 2012

Missing parts of the puzzle !!

Kuch nahi h jiski kami hai 
 Jo h wo aisa nahi ki gair zaruri hai 
 Ek aisi neend mile jo mere bachpan ki yaadon me hai sirf
 Ek aisa din mile jisme sirf khushi hi ho mere har lamhe me 
Ek dost mile mujhe apne aap me jo kabhi mere sath tha  
Wo insaan jo ab kho gaya h ya pata nahi naraz hai mujhse 
Nahi chahti ki kuch asaan mile 
 Par koi jung mile jiska lakhsya bada ho Jise jeet ke main apna bhavishya ban paun 
Wo aakhen mile jo sapne dekhti h aur wo himmat mile ki unhe poora karun
 Wo shabd mile jo mera haal bayan kar paaye 
 Ya fir koi mile jo meri khamoshi samjhe 
Wo hawa mile jo aandhi banti h 
Wo lehar mile jo samandar ko hilati h 
Wo roshni mile jo chaunka de 
Wo pyaar mile jo poora kar de 
Wo dua qabool ho jo harsu maangti hu 
Wo bharosa mile ki mera hona apne sath hi kaafi h 
Wo shuruat mile jo ek nayi zindagi de 
Wo ant mile jo khushi de 
Wo khuda mile jo insaan ko samjhe  
Ya fir main Wo insaan banu jo khuda ka kiya sab sahi samjhe
 Is zindagi ki pahadi ko chadhte hue mehnat k chhale mile
 Har hissa mehnat se lahu luhan mile 
Jitne insaano ko de paaun khushi ki zindagi  Utni hi chain ki saans mile 
 Itna mushkil b nahi hoga in sab ka milna mujhe Agar mere khoye wazood mujhe tu mile !!

No comments:

Post a Comment