Monday, 18 February 2013

zazbaat

" apni umar wo chhupaye jo jiya nahi hai "

"teri kahani aur mere tazurba-e-ishq me farak hai..
tujhe meri zarurat hai...
aur mujhe..
sirf teri zarurat hai "

"sabke apne apne tarike aur tarkiben hai sach chupane ke..
koi bina khushi muskura raha hai..
to koi toot ke bhi aansuon me nahi bahta"

"kaya koi dawa asar karegi ?
kaise koi dua kaam aayegi..
har pal naya dard hai..
har pal nayi chahat hai..
har baar wahi tu hai..
har baar wahi khuda hai"

"jaane kitne kisse hain..
jaane kitni kahaniyan hain..
tere bin sab adhoore hain
tere bin sab adhoore hain"

"meri khushi meri muskurahaton me mat dhundh..
na mere gham tujhe aansuon me milenge..
sabko apna razdar nahi banati main "

"tere intezar me bhi kuch baat to hai..
kisi aur se mulaqaton se bhi wo behtar hai "

" wajah chahne ki tujhe ek bhi nahi mere pass
par tarike hazaron hain "

" behtareen libaas me aaya hai ishq is baar..
lagta hai na nahi kah paungi...
ishq "tujh sa" hoke aaya hai "

" jab bhi koi dua qabool nahi hoti...
sochti hu ya to dua galat hai ..
ya fir khuda koi aur "

" is bebasi ki intehaan to dekh
na tujhe apnane ka koi zariya hai
na tujhe bhool jane ki koi tarqeeb "

" is tanhai ka ehsaas jaanti hu main mere dost..
sabka hona ek taraf ..
tera na hona ek taraf "