Ek zindagi hoti hai jo khyalon me hoti hai...
kya haseen hoti hai...kya khoob hoti hai.....
aur ek zindagi hoti hai jo haqiqat hoti hai....
agar kismat achhi hai to jeene layak hoti hai....
na to bas kya kahoon ki kya hi hoti hai...
aksar sochti hoon ki agar khayalon wali us zindagi ko jeena pad jae to wo bhi badtar ho jaegi...
is duniya me kisi khyal ka aana use kharab kar hi deta hai.....
yahan bhagwan ke avtar bhi aate hain to unhe marna padta hai...
ab khud ko hi soch lo ...kya the tum aane se pahle is duniya me...
ek khoobsurat khayal...ek umeed maa baap ki khushi ki...
aur agar sab ki maane to koi hai is duniya me jo tumhare liye bana hai..aur shayad tumhare intezar me bhi ho
shayad uske bhi kuch khayal honge tumhare liye.....
khud jaante ho ki tum wo khayal nahi ho....
kisi aur ka to chodo tum khud ka khayal bhi nahi ho....
mauka mile to tum bhi khud ko badalna chahoge...kisi khubsurat khayal ke sath...
aisa nahi ki mauke milte nahi....aisa nahi ki tum thoda bahot khud ko badalte nahi....
par wahi fir se hota hai....dimag ka nikla khayal jab sach ka roop leta hai to badsurat ho hi jata hai....
aur tum fir se apne aap ko badalne ki jarurat mahsoos karte ho....
itna sab sochne ke baad dimag me ye aata hai ki
banane wale ka khayal kya tha hame banate samay....kya jo sab ho raha hai wo hame us sachai me tabdeel kar paega jo wo hamse chahta hai ?
kya ham kabhi ye maan payenge ki ham wahin hai jo hame hona chahiye ?
kya jo bhi hai ...jaisa bhi hai wo insaan sahi hai ??
kya ham sab kamiyon ko bhool ke ya fir ye maan ke ki unhe badla nahi ja sakta ...ek dusre ke sath tahjeeb se nahi rah sakte ?
kya thodi kam khoobsurat sachai ek behad khoobsurat khayal se achi nahi ??
kya jo nahi hai uske liye rona itna jaruri hai ki jo h use dekh ke muskuraya na jae ??
koi sawal nahi poocha jo jawab mile....
koi jawab hai hi nahi jo mile....